junun se khelte hain aagahi se khelte hain
yahan to ahl-e-suKHan aadmi se khelte hain
nigah-e-maikada sab se ziyaada qabil-e-rahm
wo tishna-kaam hain jo tishnagi se khelte hain
tamam umr ye afsurdagan-e-mahfil-e-gul
kali ko chheDte hain bekali se khelte hain
faraaz-e-ishq nasheb-e-jahan se pahle tha
kisi se khel chuke hain kisi se khelte hain
naha rahi hai dhanak zindagi ke sangam par
purane rang nai raushni se khelte hain
jo khel jaante hain un ke aur hain andaz
baDe sukun baDi sadgi se khelte hain
'KHizan' kabhi to kaho ek is tarah ki ghazal
ki jaise rah mein bachche KHushi se khelte hain
Ghazal
Junun se khelte hain aagahi se khelte hain
Mahboob Khizan