اردو हिंदी
Junun se guzarne ko ji chahta hai | Shaahi Shayari
junun se guzarne ko ji chahta hai

Ghazal

Junun se guzarne ko ji chahta hai

Shakeel Badayuni

;

junun se guzarne ko ji chahta hai
hansi zabt karne ko ji chahta hai

jahan ishq mein Dub kar rah gae hain
wahin phir ubharne ko ji chahta hai

wo hum se KHafa hain hum un se KHafa hain
magar baat karne ko ji chahta hai

hai muddat se be-rang naqsh-e-mohabbat
koi rang bharne ko ji chahta hai

ba-in KHud-sari wo ghurur-e-mohabbat
unhen sajda karne ko ji chahta hai

qaza muzhda-e-zindagi le ke aae
kuchh is tarah marne ko ji chahta hai

nizam-e-do-alam ki ho KHair ya-rab
phir ek aah karne ko ji chahta hai

gunah-e-mukarrar 'shakil' allah allah
bigaD kar sanwarne ko ji chahta hai