junun pe jabr-e-KHirad jab bhi hoshyar hua
nazar ke sath nazara bhi sharm-sar hua
gham-e-jahan! bahut achchha unhen bhala denge
zah-e-nasib agar dil pe iKHtiyar hua
ye daur daur-e-pur-ashob hi sahi lekin
zamana pahle bhi kab kis ko saz-gar hua
mili hain nau-e-bashar se mujhe wo izaen
ki jab bhi ghaur kya KHud bhi sharmsar hua
kisi se talKHi-e-haalat ka gila hi nahin
ki jo hua wo ba-ima-e-chashm-e-yar hua
ye zindagi ka ufuq bhi ajab ufuq hai 'zamir'
ki har KHayal sitara bana ghubar hua

Ghazal
Junun pe jabr-e-KHirad jab bhi hoshyar hua
Syed Zameer Jafri