junun pe chhoD di ab sari zindagi main ne
KHirad ko aag laga di abhi abhi main ne
faqir-e-shahr ke shajre ko dekhne ke baad
amir-e-shahr ki dastar khinch li main ne
hawaen itni KHunuk thin ke KHun jamne laga
to tapte sehra ki kuchh ret oDh li main ne
tilism TuTa parinde se shahzadi bani
jo sar mein kil Thuki thi nikal di main ne
guzarishon ko na mano magar ye yaad rakho
kai sunae hain farman-e-tughlaqi main ne
buni gai thi jo KHwahish ke tane-bane se
mazar-e-dil se wo chadar utar di main ne
mere charaghon wasiyyat to dekh lo meri
tumhaare hisse mein likh di hai raushni main ne
'nawaz' is liye rahta hai wo KHafa mujh se
ke us ki baat pe hami nahin bhari main ne
Ghazal
Junun pe chhoD di ab sari zindagi maine
Nawaz Asimi