junun pe aql ka saya hai dekhiye kya ho
hawas ne ishq ko ghera hai dekhiye kya ho
gai bahaar magar aaj bhi bahaar ki yaad
dil-e-hazin ka sahaara hai dekhiye kya ho
KHamosh sham-e-mohabbat hai phir bhi husn ki zau
gulon se ta-ba-surayya hai dekhiye kya ho
shab-e-firaq ki baDhti hui siyahi mein
KHuda ko main ne pukara hai dekhiye kya ho
wahi jafaon ka aalam wahi hai mashq-e-sitam
wahi wafa ka taqaza hai dekhiye kya ho
gham-e-butan mein kaTi umr aur ab dil ko
shikayat-e-gham-e-duniya hai dekhiye kya ho
hazar bar hi dekha hai sochne ka maal
hazar bar hi socha hai dekhiye kya ho
mera shabab tera husn aur saya-e-abr
sharab-o-sher muhayya hai dekhiye kya ho
'ziya' jo pi ke na bahka wo rind-e-masti-kosh
piye baghair bahakta hai dekhiye kya ho
Ghazal
Junun pe aql ka saya hai dekhiye kya ho
Zia Fatehabadi