junun ne zahar ka piyala piya aahista aahista
ye shoala rakh mein Dhalne laga aahista aahista
bahut nazuk hain ehsasat hum arman-paraston ke
na hum ko Thes lag jae saba aahista aahista
baja saz-e-wafa lekin zara dhime baja mutrib
bapa hai hashr sa dil mein sada aahista aahista
KHushi ka ek ek lamha KHiraj-e-zist le lega
ye dil ke TuTne ka silsila aahista aahista
ye kaisa moD hai behis zamana-saz ya qatil
sulagti hai tamanna ki chita aahista aahista
Ghazal
Junun ne zahar ka piyala piya aahista aahista
Talat Isharat