junun mein mashq-e-tasawwur baDha raha hun main
wo pas aae to ab dur ja raha hun main
faza-e-gulshan-e-hasti pe chha raha hun main
tere karam ka karishma dikha raha hun main
wo chaar tinke jinhen barq bhi jala na sake
inhin se apna nasheman bana raha hun main
hai aadmi ka muqaddar KHud us ke hathon mein
kuchh is fareb mein bhi mubtala raha hun main
ubhar rahe hain fasane haqiqaten ban kar
haqiqaton ko fasane bana raha hun main
kuchh aur qissa-e-dar-o-rasan suna waiz
ki is KHayal se taskin pa raha hun main
wo ek nazar ki jise jaan-e-muddaa kahiye
usi nazar ko teri DhunDhta raha hun main
nahin hun maslahat-andesh haq-bayani mein
yahi hai jurm saza jis ki pa raha hun main
samajh chuka hun haqiqat hayat-e-fani ki
wufur-e-gham mein bhi ab muskura raha hun main
kamal-e-faiz-e-mohabbat nahin to phir kya hai
ki zarre zarre mein ab un ko pa raha hun main
unhen ba-in KHirad-o-hosh pa saka na kabhi
mata-e-hosh-o-KHirad kho ke pa raha hun main
rah-e-majaz-o-haqiqat ke moD par 'zauqi'
khaDa hua hun magar laDkhaDa raha hun main
Ghazal
Junun mein mashq-e-tasawwur baDha raha hun main
Muhammad Ayyub Zauqi