junun mein gum hue hoshyar ho kar
hamein nind aa gai bedar ho kar
mata-e-asl hathon se ganwa di
KHarab-e-andak-o-bisyar ho kar
hamin ne ki thi saiqal is nazar par
hamin par gir paDi talwar ho kar
jo ghuncha so raha tha shaKH-e-gul par
pareshan ho gaya bedar ho kar
dur-e-maqsud bas ek do qadam tha
ki rishta rah gaya diwar ho kar
na aae hosh mein diwana koi
bahut dukh paega hoshyar ho kar
'saba' mai hai na saqi hai na saghar
ye din bhi dekhiye mai-KHwar ho kar

Ghazal
Junun mein gum hue hoshyar ho kar
Saba Akbarabadi