junun mein dhyan se aaKHir phisal gai koi shai
na jaane kis ki dua se sambhal gai koi shai
abhi abhi meri aankhon mein kuchh dhuan sa uTha
abhi abhi mere sine mein jal gai koi shai
bahut sambhaal ke rakhne ki hum ne koshish ki
hamare hath se phir bhi nikal gai koi shai
main jab bhi dekhta hun zindagi ka pichhla waraq
to aisa lagta hai dil mein kuchal gai koi shai
hamari zindagi garche thi muntashir pahle
jo waqt aaya to sanche mein Dhal gai koi shai
na koi zauq-e-tamasha na koi rang-e-hayat
zaruraton ke bahane badal gai koi shai
Ghazal
Junun mein dhyan se aaKHir phisal gai koi shai
Mushtaq Sadaf