اردو हिंदी
Junun mein der se KHud ko pukarta hun main | Shaahi Shayari
junun mein der se KHud ko pukarta hun main

Ghazal

Junun mein der se KHud ko pukarta hun main

Ghani Ejaz

;

junun mein der se KHud ko pukarta hun main
jo gham hai daman-e-sahra mein wo sada hun main

badal gaya hai zamana badal gaya hun main
ab apni samt bhi hairat se dekhta hun main

hayat ek saza hai bhagat raha hun main
dar-e-qubul se lauTi hui dua hun main

jise KHud aap hi apne pe pyar aa jae
jafa ke daur mein wo laghzish-e-wafa hun main

jamal-e-yar ki ranaiyan maaz-allah
nigah ban ke nazaron mein kho gaya hun main

bas ek jumbish-e-lab tak wajud hai jis ka
zaban-e-shauq pe wo harf-e-muddaa hun main

agar hai jurm mohabbat to phir takalluf kya
madar-e-jurm hun taqsir hun KHata hun main

rafaqaton ke ye fanus ta-ba-kai 'ejaz'
hawa ki zad pe larazta hua diya hun main