junun ki rasm zamane mein aam ho na saki
hawas thi chah wafa ki ghulam ho na saki
likhe the dar-o-rasan jis kisi ki qismat mein
phir us ki zulf ke sae mein sham ho na saki
meri udasi ka bais shab-e-firaq nahin
basar ye raat ba-sad-ehtimam ho na saki
meri nigah uThi hi rahi su-e-jaanan
tajalliyon mein ghiri ham-kalam ho na saki
rawa jahan ko ki majnun ko sangsar kare
qaba-e-zist junun ki niyam ho na saki
KHirad ki baat bhi sunte kahan mili fursat
junun ki baat lahad tak tamam ho na saki
Ghazal
Junun ki rasm zamane mein aam ho na saki
Ahmad Shahid Khan