junun ki rakh se manzil mein rang kya aae
mata-e-dard to hum rah mein luTa aae
wo gard uDai kisi ne ki sans ghuTne lagi
haTe ye rah se diwar to hawa aae
kisi maqam-e-tamanna se jab bhi palTe hain
hamare samne apne hi naqsh-e-pa aae
numu ke bojh se shaKHen na TuT jaen kahin
tum aao to koi ghuncha khile saba aae
ye dil ki pyas ye duniya ke fasle 'baqi'
bahut qarib se ab to koi sada aae
Ghazal
Junun ki rakh se manzil mein rang kya aae
Baqi Siddiqui