junun ki dast-giri kis se ho gar ho na uryani
gareban-chaak ka haq ho gaya hai meri gardan par
ba-rang-e-kaghaz-e-atish-zada nairang-e-betabi
hazar aaina dil bandhe hai baal-e-yak-tapidan par
falak se hum ko aish-e-rafta ka kya kya taqaza hai
mata-e-burda ko samjhe hue hain qarz rahzan par
hum aur wo be-sabab ranj-ashna dushman ki rakhta hai
shua-e-mehr se tohmat nigah ki chashm-e-rauzan par
fana ko saunp gar mushtaq hai apni haqiqat ka
farogh-e-tala-e-KHashak hai mauquf gulKHan par
'asad' bismil hai kis andaz ka qatil se kahta hai
ki mashq-e-naz kar KHun-e-do-alam meri gardan par
fusun-e-yak-dili hai lazzat-e-bedad dushman par
ki wajd-e-barq jun parwana baal-afshan hai KHirman par
takalluf KHar-KHar-e-iltimas-e-be-qarari hai
ki rishta bandhta hai pairahan angusht-e-sozan par
ye kya wahshat hai ai diwane pesh-az-marg wawaila
rakkhi be-ja bina-e-KHana-e-zanjir-e-shewan par
Ghazal
Junun ki dast-giri kis se ho gar ho na uryani
Mirza Ghalib