junun KHud-numa KHud-nigar bhi nahin
KHirad ki tarah kam-nazar bhi nahin
koi rahzan ka KHatar bhi nahin
ki daman mein gard-e-safar bhi nahin
yahan hosh-o-iman sabhi luT gae
maza ye hai un ki KHabar bhi nahin
gham-e-zindagi ek musalsal azab
gham-e-zindagi se mafar bhi nahin
nazar mo'atabar hai KHabar mo'atabar
magar is qadar mo'atabar bhi nahin
teri anjuman markaz-e-arzu
teri anjuman mein guzar bhi nahin
kahan jaen 'taban' gunahgar-e-shauq
saza bhi nahin darguzar bhi nahin
Ghazal
Junun KHud-numa KHud-nigar bhi nahin
Taban Ghulam Rabbani