junun ke walwale jab ghuT gae dil mein nihan ho kar
to uTThe hain dhuan ho kar gire hain bijliyan ho kar
kuchh aage baDh chale saman-e-rahat la-makan ho kar
falak pichhe raha jata hai gard-e-karwan ho kar
kisi din to chale ai aasman baad-e-murad aisi
ki utren kashti-e-mai par ghaTaen baadban ho kar
na jaane kis bayaban marg ne miTTi nahin pai
bagule ja rahe hain karwan-dar-karwan ho kar
wafur-e-zabt se betabi-e-dil baDh nahin sakti
gale tak aa ke rah jate hain nale hichkiyan ho kar
gulu-gir ab to aisa inqalab-e-rang-e-alam hai
ki naghme nikle minqar-e-anadil se fughan ho kar
jo ho kar abr se mayus KHud sinche kabhi dahqan
jala den khet ko pani ki lahren bijliyan ho kar
jahan mein washud-e-KHatir ke saman ho gae lashe
jagah rahat ki na-mumkin hui hai la-makan ho kar
hanse koi na bijli ke siwa is dar-e-matam mein
agar rah jae sara khet kisht-e-zafaran ho kar
alam mein aashiyan ke is qadar tinke chune main ne
ki aaKHir bais-e-taskin hue hain aashiyan ho kar
ghaTaen ghir ke kya kya hasrat-e-farhad par roin
chaman tak aa gain nahren pahaDon se rawan ho kar
dil-e-shaida ne paya ishq mein mearaj ka rutba
yahan akasr buton ke zulm TuTe aasman ho kar
jo Darte Darte dil se ek harf-e-shauq nikla tha
wo us ke samne aaya zaban par dastan ho kar
nikal aae hain har iqrar mein inkar ke pahlu
bana deti hain hairan teri baaten makr yan ho kar
nazakat ka ye aalam phul bhi toDe to bal kha kar
na jaane dil mera kis tarah toDa pahlwan ho kar
tadarrau-o-kabak par hans kar uTThe KHud laDkhaDate hain
subuk karte hain un ko paenche bar-e-giran ho kar
gala ghonTa hai zabt-e-gham ne kuchh aisa ki mushkil hai
ki nikle munh se aawaz-e-shikast-e-dil fughan ho kar
pata andesha-e-salik ne paya manzil-e-dil ka
tu palTa la-makan se aasman-dar-asman ho kar
hui phir dekhiye aa bustan-e-shadi-o-gham duniya
abhi paida hue the ranj-o-rahat to aman ho kar
jo nikli hogi koi aarzu to ye bhi niklega
tumhaara tir-e-hasrat ban gaya dil mein nihan ho kar
utar jaega tu o aaftab-e-husn koThe se
girega saya-e-diwar hum par aasman ho kar
Ghazal
Junun ke walwale jab ghuT gae dil mein nihan ho kar
Nazm tabaa-tabaa.ii