اردو हिंदी
Junun ke josh mein insan ruswa ho hi jata hai | Shaahi Shayari
junun ke josh mein insan ruswa ho hi jata hai

Ghazal

Junun ke josh mein insan ruswa ho hi jata hai

Muztar Khairabadi

;

junun ke josh mein insan ruswa ho hi jata hai
gareban phaDne se fash parda ho hi jata hai

mohabbat KHauf-e-ruswai ka bais ban hi jati hai
tariq-e-ishq mein apnon se parda ho hi jata hai

jawani wasl ki lazzat pe raghib kar hi deti hai
tumhein is baat ka gham kyun hai aisa ho hi jata hai

bigaDte kyun ho aapas mein shikayat kar hi lete hain
adu ka tazkira dushman ka charcha ho hi jata hai

tumhaari nargis-e-bimar achchha kar hi deti hai
jise tum dekh lete ho wo achchha ho hi jata hai

akela pa ke un ko arz-e-matlab kar hi leta hun
na chahun to bhi izhaar-e-tamanna ho hi jata hai

mera dawa-e-ishq aghyar baatil kar hi dete hain
jise jhuTa bana len yar jhuTa ho hi jata hai

butan-e-be-wafa 'muztar' dil-o-din kar hi lete hain
tumhin par kuchh nahin mauquf aisa ho hi jata hai