junun ke bab mein yun KHud ko tumhaara kar ke
hath malta hun main apna hi KHasara kar ke
ab mere zehn mein bas lazzat-e-duniya hai rawan
thak chuka hun teri ulfat pe guzara kar ke
hum abhi sohbat-e-duniya mein hain masruf magar
koi shab tum ko bhi dekhenge gawara kar ke
hum se KHamosh tabiat bhi hain duniya mein ki jo
us ko hi chahte hain us se kinara kar ke
der tak koi na tha rah batane wala
aur phir le gai ek mauj ishaara kar ke
Ghazal
Junun ke bab mein yun KHud ko tumhaara kar ke
Rahul Jha