اردو हिंदी
Junun ka zikr mera aam ho gaya to kya | Shaahi Shayari
junun ka zikr mera aam ho gaya to kya

Ghazal

Junun ka zikr mera aam ho gaya to kya

Murtaza Birlas

;

junun ka zikr mera aam ho gaya to kya
main tere shahar mein badnam ho gaya to kya

koi usul mera matmah-e-nazar to raha
shahid-e-hasrat-e-nakaam ho gaya to kya

jahan ne kis ko sazawar-e-agahi jaana
jo main bhi morid-e-ilzam ho gaya to kya

koi salib pe laTka kisi ne zahar piya
mera bhi gar yahi anjam ho gaya to kya

hazar shamen jala kar ziya bikher gaya
KHamosh main jo sar-e-sham ho gaya to kya

harif-e-gardish-e-ayyam to raha barson
main aaj kushta-e-alam ho gaya to kya