junun ka mere imtihan ho raha hai 
sukun aaj bar-e-giran ho raha hai 
chamakne lage meri nazron mein zarre 
sitaron ka chehra dhuan ho raha hai 
gunahon se bojhal jabin ki badaulat 
tera aastan aastan ho raha hai 
udhar aasman par chamakti hai bijli 
mukammal idhar aashiyan ho raha hai 
na girdab o tufan na wade muKHalif 
mera hausla raegan ho raha hai 
tera dard ab main samajhne laga hun 
mera dard ab be-zaban ho raha hai 
ye kya kam hai 'hairat' meri kaamyabi 
ki ab tak mera imtihan ho raha hai
        Ghazal
Junun ka mere imtihan ho raha hai
Hairat Gondvi

