junun-e-shauq mein mahw-e-tamasha ho gae hum tum 
mohabbat rang lai KHub ruswa ho gae hum tum 
koi monis na hamdam hai na koi raaz-dan apna 
hujum-e-shauq ke sae mein tanha ho gae hum tum 
andheron mein bhaTakti hai jawani raushni kaisi 
ye kya manzil hai mahrum-e-tamanna ho gae hum tum 
parastar-e-wafa koi nahin bazar-e-ulfat mein 
KHaridari nahin jis ki wo sauda ho gae hum tum 
azal se qismat-e-adam mohabbat se hai wabasta 
jahan mein kis liye phir aah ruswa ho gae hum tum 
chale the do qadam jab bhi kabhi anjam rahon par 
hasin-o-gul-fishan rahon pe shaida ho gae hum tum 
surur-o-kaif ke aalam mein apni hosh kho baiThe 
'nazar' ki choT kha kar mahw-e-jalwa ho gae hum tum
        Ghazal
Junun-e-shauq mein mahw-e-tamasha ho gae hum tum
Nazar Barni

