junun-e-shauq-e-mohabbat ki aagahi dena
KHudi bhi jis pe ho qurban wo be-KHudi dena
na shor chahiye dariya ki tund maujon ka
mere lahu ko samundar ki KHamushi dena
tu de na de mere lab ko shaguftagi gul ki
jo de sake to shagufe ki bekali dena
shanaKHt jis se zamane mein aadmi ki hai
ye iltija hai ki tu mujh ko wo KHudi dena
jhuka sake na mera sar koi bhi qadmon par
jo ho sake to mujhe tu wo sar-kashi dena
naqab ulaT de jo baDh kar ruKH-e-tamanna se
ye aarzu hai ki mujh ko wo tishnagi dena
nai jihat se fan ko jo aashna kar de
mere qalam ko KHudaya wo kaj-rawi dena
Ghazal
Junun-e-shauq-e-mohabbat ki aagahi dena
Alqama Shibli