اردو हिंदी
Junun-e-rang ham-ahangi-e-mazaq tumhi | Shaahi Shayari
junun-e-rang ham-ahangi-e-mazaq tumhi

Ghazal

Junun-e-rang ham-ahangi-e-mazaq tumhi

Ain Salam

;

junun-e-rang ham-ahangi-e-mazaq tumhi
bina-e-ranj tumhi wajh-e-ittifaq tumhi

tumhi ho raushni-e-tab-e-kushtagan-e-hayat
shab-e-siyah alam mein siraj-e-taq tumhi

rawan-dawan nahin mujh mein koi tumhaare siwa
tumhi ho manzar-e-mawwaj chashm-e-waq tumhi

tumhi se hon to ye kyun sochta hun main kya hun
tumhi ki husn-e-jahan bhi ho husn-e-taq tumhi

main aaine ki tarah be-KHabar hun hairan hun
main kaise bolon ki raqi tumhin ho raq tumhi

ye KHair-o-shar mein tanasub tumhi se qaem hai
tumhi ho musbat-o-manfi ke sang-e-haq tumhi