junun-e-ishq mein sad-chaak hona paDta hai
is intiha ke liye KHak hona paDta hai
kisi se jab kabhi hum zindagi badalte hain
to phir badan ki bhi poshak hona paDta hai
zamin pe KHak-nashini ka wasf rakhte hue
kabhi kabhi hamein aflak hona paDta hai
agar main Dubi use sath le ke Dubungi
mohabbaton mein bhi saffak hona paDta hai
hawa ke sath mohabbat ke dhup-sahra mein
gulon ko bhi KHas-o-KHashak hona paDta hai
bisat-e-waqt ki chaalen samajh saken 'ruhi'
kam-az-kam itna to chaalak hona paDta hai

Ghazal
Junun-e-ishq mein sad-chaak hona paDta hai
Rehana Roohi