junun-e-ishq ki ye fitna-samani nahin jati
nahin jati hamari chaak-damani nahin jati
musibat yun kabhi duniya mein pahchani nahin jati
nahin aati bala jo sar pe wo mani nahin jati
guman-e-bad na kar ai mohtasib rindon ki haalat par
ki ho kar chaak-daman pak-damani nahin jati
nahin marta kabhi go bul-hawas har ek pe marta hai
nahin jati subuk-sar ki giran-jaani nahin jati
zyaada dur sahil to nahin kuchh bahr-e-hasti ka
magar kashti kidhar jae ki tughyani nahin jati
hamare ghar ki virani se hai dil bastagi us ko
tum aa kar jab chale jate ho virani nahin jati
tamasha dekhne wale to lakhon aate jate hain
wahi jalwe hain jalwon ki farawani nahin jati
teri taswir aaina hai meri chashm-e-hairat ka
nahin jati in aainon ki hairani nahin jati
abhi nazron mein phirta hai wo bazm-e-naz ka manzar
mere dil se tere jalwon ki arzani nahin jati
hijabaat-e-jahan se har ada chhan chhan ki aati hai
gharaz parde se un ki jalwa-samani nahin jati
mujhe samjha rahe hain aap kya ai naseh-e-mushfiq
mohabbat mein kisi ki baat hi mani nahin jati
rahega shairi ka nam 'KHushtar' rahti duniya tak
suKHan-jui suKHan-goi suKHan-dani nahin jati
Ghazal
Junun-e-ishq ki ye fitna-samani nahin jati
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar