junun-e-ishq ki aamadgi ne kuchh na diya
yahan bhi zist ki uftadgi ne kuchh na diya
lahu ki mauj se baam-e-KHayal raushan hai
damakte chand ki ustadgi ne kuchh na diya
ye lab tumhaare nahin kar sake masihai
unhen bhi waqfa-e-wamandgi ne kuchh na diya
sameT lae the jitne bhi KHwab the lekin
huzur-e-dost bhi diwangi ne kuchh na diya
main dekhti thi tere KHal-o-KHad ko hairat se
magar ye kya ki meri sadgi ne kuchh na diya
tumhaari jeb bhi KHali tumhaare dil ki tarah
tumhein bhi fursat-e-yak-bargi ne kuchh na diya
diye ke nur mein karte rahe safar sare
wo jin ko nisbat-e-sayyargi ne kuchh na diya
bhaTak rahe hain kisi ajnabi masafat mein
mah-o-nujum ko aawargi ne kuchh na diya
wo log kaun hain jin ko KHuda nasib hua
hamein to dil teri nazzargi ne kuchh na diya
ye aankh aaj bhi dar par lagi hui hai 'sahar'
tamam umr ki bechaargi ne kuchh na diya
Ghazal
Junun-e-ishq ki aamadgi ne kuchh na diya
Shaista Sahar