اردو हिंदी
Junun-e-ishq-e-sar bedar bhi hai | Shaahi Shayari
junun-e-ishq-e-sar bedar bhi hai

Ghazal

Junun-e-ishq-e-sar bedar bhi hai

Ziauddin Ahmad Shakeb

;

junun-e-ishq-e-sar bedar bhi hai
ghurur-e-baada-e-sarshaar bhi hai

KHayal-e-turra-e-shab-rang mujh ko
kabhi ek saya-e-diwar bhi hai

mujhe taslim ye gardun-rakabi
bulandi ek faraaz-e-dar bhi hai

ye asr-e-nau ka shauq-e-chaara-sazi
pae-darman gham-e-bimar bhi hai

tamiz-e-KHar-o-gul dastur-e-gulchin
nigah-e-baghban mein KHar bhi hai

chaman mein khul gain nargis ki aankhen
bayan-e-KHwab mein jhankar bhi hai