اردو हिंदी
Junun-e-dil na sirf itna ki ek gul pairahan tak hai | Shaahi Shayari
junun-e-dil na sirf itna ki ek gul pairahan tak hai

Ghazal

Junun-e-dil na sirf itna ki ek gul pairahan tak hai

Majrooh Sultanpuri

;

junun-e-dil na sirf itna ki ek gul pairahan tak hai
qad o gesu se apna silsila dar-o-rasan tak hai

magar ai ham-qafas kahti hai shorida-sari apni
ye rasm-e-qaid-o-zindan ek diwar-e-kuhan tak hai

kahan bach kar chali ai fasl-e-gul mujh aabla-pa se
mere qadmon ki gul-kari bayaban se chaman tak hai

main kya kya jura-e-KHun pi gaya paimana-e-dil mein
bala-noshi meri kya ek mai-e-saghar shikan tak hai

na aaKHir kah saka us se mera haal-e-dil-e-sozan
mah-e-taban ki jo us ka sharik-e-anjuman tak hai

nawa hai jawedan 'majruh' jis mein ruh-e-saat ho
kaha kis ne mera naghma zamane ke chalan tak hai