junun-e-be-KHudi ke saz-o-saman dekhne wale
baDi hairat mein hain mera gareban dekhne wale
tumhaari zulf ki uljhan mein phans kar nind kho baiThe
kabhi sote nahin KHwab-e-pareshan dekhne wale
abhi bhaDkega soz-e-gham abhi ye zaKHm kudenge
zara Thahren mere dil ka charaghan dekhne wale
meri Thahri hui duniya mein halchal si macha Dali
dabe-panw chalen gor-e-ghariban dekhne wale
kahin soti hui duniya na paemal ho jae
zara aahista ai gor-e-ghariban dekhne wale
uThaenge na ai 'naKHshab' kabhi nazren su-e-jannat
tasawwur mein bahaar-e-ku-e-jaanan dekhne wale
Ghazal
Junun-e-be-KHudi ke saz-o-saman dekhne wale
Nakhshab Jaarchawi