junun-awar shab-e-mahtab thi pi ki tamanna mein
ki bah kar rail mein ashkon ke hum the sair-e-dariya mein
hamari KHak par aahista Thokar mar ai zalim
mabaada shisha-e-dil TuT chubh jawe tere pa mein
tumhaare aabla-paon ko jangal yaad karta hai
lahu har KHar se Tapke hai ab lag dast-e-sauda mein
ba-kaifiyyat tha az-bas raat mazkur us ki aankhon ka
bhari thi bu-e-nargis yak-qalam har jam-e-sahba mein
ghubar-e-ah-e-tufan se chhupi hai KHak mein basti
ye 'uzlat' shahr mein tha ja raha nagah sahra mein
Ghazal
Junun-awar shab-e-mahtab thi pi ki tamanna mein
Wali Uzlat