jumbish mein zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf
gardish mein chashm-e-sehr-e-fan ek is taraf ek us taraf
aariz pe zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf
hain aaj do suraj-gahan ek is taraf ek us taraf
matlab ishaaron se kaha main in ishaaron ke fida
aankhen bhi hain garm-e-suKHan ek is taraf ek us taraf
jis dam sikandar mar gaya haal-e-tahi-dasti khula
the hath bairun-e-kafan ek is taraf ek us taraf
jaega do ho kar ye dil aadha idhar aadha udhar
khinchegi zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf
ghairon se khel khelo na tum kar denge ruswa hashr mein
hain do farishte jaan-e-man ek is taraf ek us taraf
aariz pe simTe KHud-ba-KHud zulfon ke ghungar wale baal
hai nafa-e-mushk-e-KHutan ek is taraf ek us taraf
shirin ka KHwahan hashr mein KHusraw bhi hai farhad bhi
khinchenge donon pairahan ek is taraf ek us taraf
ghungaT jo galon se uTha tar-e-nazara jal gaya
suraj the do jalwa-figan ek is taraf ek us taraf
qatil idhar jarrah udhar main nim-bismil KHak par
ek tir-e-kash ek tir-e-zan ek is taraf ek us taraf
aankhon ke andar jae ghair aankhon ke upar hai naqab
KHalwat mein hain do anjuman ek is taraf ek us taraf
wo hatha-pai hum ne ki bistar pe TuTe aur gire
bazu ke donon nau-ratan ek is taraf ek us taraf
pesh-e-KHuda roz-e-jaza main bhi hun chup qatil bhi chup
goya khaDe hain be-dahan ek is taraf ek us taraf
ruKHsar par KHat ka nishan gul par hua sabza ayan
hain donon aariz do chaman ek is taraf ek us taraf
kafir bhi hun momin bhi hun jalna bhi hai gaDna bhi hai
khinchenge shaiKH-o-barahman ek is taraf ek us taraf
ghabra na jaen dil-jigar hai band turbat mein hawa
pankhe hon do nazd-e-kafan ek is taraf ek us taraf
yarab uThun jab qabr se do but rahen ham-rah mere
ghaarat-gar-e-hindu-o-dakan ek is taraf ek us taraf
kahte hain anmol us ko sab kahte hain kuchh gol us ko sab
kya chiz hai ai jaan-e-man ek is taraf ek us taraf
jannat ki huren aain hain 'mail' dabane mere panw
baiThi hain nazdik-e-kafan ek is taraf ek us taraf
Ghazal
Jumbish mein zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf
Ahmad Husain Mail