jumbish-e-dil nahin beja tu kidhar bhula hai
koi laDka ise gahwara samajh jhula hai
KHun tu ne jo bahaya hai siyah-baKHton ka
tere kuche mein ajab sham o shafaq phula hai
KHub rindon ne uDae hain maze duniya ke
hiz ko bakr hai mardon ki wo madKHula hai
behtar hai ishq-e-majazi tujhe bekari se
jab talak ishq-e-haqiqi ho ye mashghula hai
pa-e-himmat to mera lang nahin hai 'hatim'
go mere kaam ke tain dast-e-falak lula hai
Ghazal
Jumbish-e-dil nahin beja tu kidhar bhula hai
Shaikh Zahuruddin Hatim