اردو हिंदी
Jugnu ki raushni hai kashana-e-chaman mein | Shaahi Shayari
jugnu ki raushni hai kashana-e-chaman mein

Ghazal

Jugnu ki raushni hai kashana-e-chaman mein

Allama Iqbal

;

jugnu ki raushni hai kashana-e-chaman mein
ya shama jal rahi hai phulon ki anjuman mein

aaya hai aasman se uD kar koi sitara
ya jaan paD gai hai mahtab ki kiran mein

ya shab ki saltanat mein din ka safir aaya
ghurbat mein aa ke chamka gumnam tha watan mein

takma koi gira hai mahtab ki qaba ka
zarra hai ya numayan suraj ke pairahan mein

husn-e-qadim ki ek poshida ye jhalak thi
le aai jis ko qudrat KHalwat se anjuman mein

chhoTe se chand mein hai zulmat bhi raushni bhi
nikla kabhi gahan se aaya kabhi gahan mein