judai had se baDhi to visal ho hi gaya
chalo wo aaj mera ham-KHayal ho hi gaya
nawazta tha hamesha wo gham ki daulat se
aur is KHazane se main mala mal ho hi gaya
main aadmi hun to himmat na TuTti kaise
ghamon ke bojh se aaKHir niDhaal ho hi gaya
ye aur baat ki wo aadmi na ban paya
magar zamane ki KHatir misal ho hi gaya
wo aaftab ki din mein uruj tha jis ka
hui jo sham to us ka zawal ho hi gaya
main karobar-e-jahan mein ulajh gaya itna
ki KHud se milna bhi ab to muhaal ho hi gaya
Ghazal
Judai had se baDhi to visal ho hi gaya
Ateeq Allahabadi