اردو हिंदी
Judai bhi qarabat ki tarah thi | Shaahi Shayari
judai bhi qarabat ki tarah thi

Ghazal

Judai bhi qarabat ki tarah thi

Hasan Nizami

;

judai bhi qarabat ki tarah thi
magar saat nahusat ki tarah thi

lipaT ke so gaya main zindagi se
ghazab-naki inayat ki tarah thi

wo fateh tha magar jazbe se aari
hamari haar nusrat ki tarah thi

hiran ki aankh mein dahshat thi zinda
magar ye chashm hairat ki tarah thi

guzari thi jo saat sath tere
nazar mein wo amanat ki tarah thi

yaqin karna guman ke daere mein
tabiat us ki aurat ki tarah thi

abhi jo KHak ki paiwand si hai
falak-bos ek imarat ki tarah thi

dua man ki muhafiz thi nahin to
saubat bhi qayamat ki tarah thi