juda wo hote to hum un ki justuju karte
alag nahin hain to phir kis ki aarzu karte
mila na hum ko kabhi arz-e-haal ka mauqa
zaban na chalti to aankhon se guftugu karte
agar ye jaante hum bhi unhin ki surat hain
kamal-e-shauq se apni hi justuju karte
jo KHak chaak-e-jigar hai to purze purze dil
junun ke hosh mein kis kis ko hum rafu karte
dil-e-hazin ke makin tu agar sada deta
teri talash kabhi hum na ku-ba-ku karte
kamal-e-josh-e-talab ka yahi taqaza hai
hamein wo DhunDte hum un ki justuju karte
namaz-e-ishq tumhaari qubul ho jati
agar sharab se tum ai 'ratan' wazu karte

Ghazal
Juda wo hote to hum unki justuju karte
Ratan Pandorwi