اردو हिंदी
Juda us jism se ho kar kahin tahlil ho jata | Shaahi Shayari
juda us jism se ho kar kahin tahlil ho jata

Ghazal

Juda us jism se ho kar kahin tahlil ho jata

Zameer Atraulvi

;

juda us jism se ho kar kahin tahlil ho jata
fana hote hi lafani mein main tabdil ho jata

mere pichhe agar iblis ko aane na deta tu
sarapa mein tere har hukm ki tamil ho jata

jo hota iKHtiyar apne muqaddar ko badalne ka
tamannaon ki main ek surat-e-takmil ho jata

mujhe pahchan kar koi zamane ko bata deta
to misl-e-nikhat-e-gulzar main tarsil ho jata

karishma ye bhi ho jata tere adna taawun se
mujhe tu sochta to main teri taKHil ho jata

zamin pyasi 'zamir' insan bhi pyase nahin rahte
agar dariya main ban jata agar main jhil ho jata