juda thi baam se diwar dar akela tha
makin the KHud mein magan aur ghar akela tha
thi aarzu ki rahun jabr se mahaz-ara
main Dar gaya ki ye lamba safar akela tha
nigah-e-ghair jise mo'tabar bahut Thahri
use main kaise dikhata nagar akela tha
kahan talak main shujaat ki dad deta yahan
ki us ki sari sipah main idhar akela tha
bahut maze mein rahe sar-nigun KHajil paude
hawa-e-tez ki zad mein shajar akela tha
abas sharik tha be-waqt razm mein 'shahin'
dayar-e-ghair mein wo be-KHabar akela tha
Ghazal
Juda thi baam se diwar dar akela tha
Javed Shaheen