juda rahta hun main tujh se to dil be-tab rahta hai
chaman se dur rah ke phul kab shadab rahta hai
andhere aur ujale ki kahani sirf itni hai
jahan mahbub rahta hai wahin mahtab rahta hai
muqaddar mein likha kar lae hain hum boriya lekin
tasawwur mein hamesha resham-o-kam-KHwab rahta hai
hazaron bastiyan aa jaengi tufan ki zad mein
meri aankhon mein ab aansu nahin sailab rahta hai
bhale lagte hain schoolon ki uniform mein bachche
kanwal ke phul se jaise bhara talab rahta hai
ye bazar-e-hawas hai tum yahan kaise chale aae
ye sone ki dukanen hain yahan tezab rahta hai
hamari har pareshani inhi logon ke dam se hai
hamare sath ye jo halqa-e-ahbab rahta hai
baDi mushkil se aate hain samajh mein lucknow wale
dilon mein fasle lab par magar aadab rahta hai
Ghazal
Juda rahta hun main tujhse to dil be-tab rahta hai
Munawwar Rana