juda nahin hai har ek mauj dekh aab ke bich
hubab bahr mein hai bahr hai hubab ke bich
laga hai jis se mere dil mein ishq ka kanTa
hun misl-e-mahi-e-be-tab pech-o-tab ke bich
kisu ke dil ki imarat ka fikr kar munim
bana na ghar ko tu is KHana-e-KHarab ke bich
har ek chalne ko yan mustaid hai shah-sawar
zamin pe panw hai ek dusra rikab ke bich
ba-rang-e-shama chhupe husn-e-jalwagar kyun kar
hazar us ko rakhen burqa-o-naqab ke bich
'nasir' aankhon mein apni lage hai yun do jahan
KHayal dekhte hi jaise shab ko KHwab ke bich
Ghazal
Juda nahin hai har ek mauj dekh aab ke bich
Shah Naseer