اردو हिंदी
Juda kiya to bahut hi hansi-KHushi usne | Shaahi Shayari
juda kiya to bahut hi hansi-KHushi usne

Ghazal

Juda kiya to bahut hi hansi-KHushi usne

Alimullah Hali

;

juda kiya to bahut hi hansi-KHushi us ne
badal diya hai ab andaz-e-be-ruKHi us ne

wo rang rang uDa KHushbuon mein phail gaya
jhaTak diya hai mera daman-e-tahi us ne

jise suna ke mujhe KHauf-e-sar-zanish sa raha
usi kalam pe baDh-chaDh ke dad di us ne

wo mere sath shuru-e-safar chala tha magar
hujum-e-shahr mein li rah aur hi us ne

hua hun jurat-e-jurm-e-wafa se bhi mahrum
saza ye di ki KHata meri baKHsh di us ne

ab apni koi sada hai na apna koi pata
pila diya hai mujhe zahr-e-agahi us ne

dar-e-sukut pe 'haali' bahut hai shor-e-sada
bapa kiya hai wo tufan-e-KHamushi us ne