juda karenge na hum dil se hasrat-e-dil ko
aziz kyun na rakhen zindagi ke hasil ko
nihan agarche hai mahfil se soz-e-dil mera
magar ye raaz hai malum sham-e-mahfil ko
wo tul khincha bala ka tere taghaful ne
ki sabr aa hi gaya mere muztarib dil ko
kaThin hai kaam to himmat se kaam le ai dil
bigaD kaam na mushkil samajh ke mushkil ko
wo kaam mera nahin jis ka nek ho anjam
wo rah meri nahin jo gai ho manzil ko
KHabar hui na unhen mere muztarib dil ki
ghalat KHayal hai ye dil se rah hai dil ko
bala ki hoti hai 'wahshat' ki bhi ghazal-KHwani
ki ek surur sa hota hai ahl-e-mahfil ko
Ghazal
Juda karenge na hum dil se hasrat-e-dil ko
Wahshat Raza Ali Kalkatvi