juda juda sab ke KHwab tabir ek jaisi
hamein azal se mili hai taqdir ek jaisi
har ek kitab-e-amal ke unwan apne apne
waraq waraq par qaza ki tahrir ek jaisi
guzarte lamhon se naqsh kya apne apne puchhen
in aainon mein har ek taswir ek jaisi
teri shararbariyon meri KHaksariyon ki
hawa kabhi to karegi tashhir ek jaisi
ye tai hua ek bar sab aazma ke dekhen
najat-e-qalb-o-nazar ki tadbir ek jaisi
dilon ke zamzam se dhul ke nikli hui sadaen
samaaton mein jagaen tasir ek jaisi
Ghazal
Juda juda sab ke KHwab tabir ek jaisi
Jaleel u0027Aaliu0027