juda hue to judai mein ye kamal bhi tha
ki us se rabta TuTa bhi tha bahaal bhi tha
wo jaane wala hamein kis tarah bhulaega
hamare pesh-e-nazar ek ye sawal bhi tha
ye ab jo dekh rahe ho ye kuchh naya to nahin
ye zindagi ka tamasha guzishta sal bhi tha
ye dagh likkha tha sailab ke muqaddar mein
mera makan to pahle se KHasta-haal bhi tha
Ghazal
Juda hue to judai mein ye kamal bhi tha
Naved Raza