juda ho kar wo hum se hai juda kya
samaat ka sada se fasla kya
KHud apne aalam-e-hairat ko dekhe
tera munh tak raha hai aaina kya
andhera ho gaya hai shahr bhar mein
koi dil jalte jalte bujh gaya kya
lahu ki koi qimat hi nahin hai
tere rang-e-hina ka KHun baha kya
charaghon ki safen suni paDi hain
hamare baad mahfil mein raha kya
dilon mein bhi utaro koi mahtab
zamin par khinchte ho daera kya
diya apna bujha do KHud hi 'shaer'
hawa-e-nim-shab ka aasra kya
Ghazal
Juda ho kar wo humse hai juda kya
Shaayar Lakhnavi