juda ho kar samundar se kinara kya banega
nahin socha hai ab tak wo hamara kya banega
mujhe ye ek arse se zamin samjha rahi hai
falak se TuT kar mera sitara kya banega
main aisa lafz hun jis ka koi matlab nahin hai
KHuda hi jaane mera istiara kya banega
musawwir is liye tum ko banana chahta hai
use malum hai tum bin nazara kya banega
hawa se dosti kar li hai mere na-KHuda ne
meri kashti ka dariya mein sahaara kya banega
tumhaara faisla manzur hai lekin batao
bichhaD ke mujh se mustaqbil tumhaara kya banega
KHuda-e-bahr-o-bar tu ne jo phir duniya banai
hamari KHak se is mein dobara kya banega
Ghazal
Juda ho kar samundar se kinara kya banega
inaam azmi