juda hai dard ka mafhum lafz-e-KHwab ke sath
shuur-e-zat nikharta hai inqalab ke sath
nazar uTha ke to dekho ufuq ke chehre par
meri ghazal ka taqaddus hai aaftab ke sath
azal se dasht-o-bayaban mein ghumti hai hayat
kabhi naqab se haT kar kabhi naqab ke sath
shafaq hai ya teri aankhon ki mauj-e-be-KHwabi
jo ghul rahi hai har ek qatra-e-sharab ke sath
guzar di hain kai intizar ki shamen
kuchh iztirab ki KHatir kuchh iztirab ke sath
mere wajud ki tanhaiyon ke zine se
utar raha hai sambhal kar koi hijab ke sath
riwayaton ke dawawin dekhne walo
nae mizaj ka chehra paDho kitab ke sath

Ghazal
Juda hai dard ka mafhum lafz-e-KHwab ke sath
Meer Naqi Ali Khan Saqib