juda bhi ho ke wo ek pal kabhi juda na hua
ye aur baat ki dekhe use zamana hua
na puchh mera pata mauja-e-hawa hun main
bhala hawa ka bhi koi kabhi Thikana hua
har ek samt sahife khule paDe the yahan
tera nasib ki tu harf-ashna na hua
panah milti kise meri kibriyai se
KHuda ka shukr main banda hua KHuda na hua
is apni khoj mein kya kya khule na bhed magar
main hun bhi ya ki nahin mujh pe aaina na hua
nida-e-ghaib thi teri sada thi dhaDkan thi
mere shuur se itna bhi faisla na hua
shajar to rah ka saya hain un ko kya malum
kahan se aaya musafir kidhar rawana hua
faqir ho ke liya tu ne kya 'bashir' ki jab
galim-posh bhi tu ho ke ba-safa na hua
Ghazal
Juda bhi ho ke wo ek pal kabhi juda na hua
Basheer Ahmad Basheer