josh par thin sifat-e-abr-e-bahaari aankhen
ba gain aansuon ke sath hamari aankhen
hain jilau mein sifat-e-abr-e-bahaari aankhen
uThne deti hain kahan gard-e-sawari aankhen
kyun asiran-e-qafas ki taraf aana chhoDa
pher lin tu ne bhi ai baad-e-bahaari aankhen
samne aa gai gul-gasht mein nargis shayad
palkon se chin-ba-jabin hain jo tumhaari aankhen
kya durr-e-ashk se hain daman-e-mizhgan mamlu
kab zaban hai ki karen shukr-guzari aankhen
dekhte hain taraf-e-chah-e-zaqan ulfat se
muft mein hum ko Duboti hain hamari aankhen
shoKHiyan aahuon ki zehn mein kab aati hain
kuchh dinon hum ne bhi dekhi thin tumhaari aankhen
qatra-e-ab ko muhtaj kiya gardun ne
yaad-e-ayyam ki thin chashma-e-jari aankhen
dur se dekh ke tum ko koi ji bharta hai
kar rahi hain faqat ayyam-guzari aankhen
abr ko dekh ke har martaba josh aata hai
ab to aain hain mere zabt se aari aankhen
jab haTa aaina aage se huin kya bechain
apne par aap hi aashiq hain tumhaari aankhen
lutf dekha na kisi chiz ka ashkon ke siwa
aain thin rone ko duniya mein hamari aankhen
kahti hai bhar ke dam-e-sard KHizan mein bulbul
DhunDhti hain tujhe ai fasl-e-bahaari aankhen
tum ko sharm aati hai hum qabil-e-nazzara nahin
na raha husn tumhaara na hamari aankhen
kyun charagah-e-ghazalan na kahun palkon ko
phir rahi hain meri nazron mein tumhaari aankhen
roun kis waste gar samne aana chhoDa
aap ko husn hai pyara mujhe pyari aankhen
kor ho jaun magar ishq mein rone ko na rok
naseha dil se ziyaada nahin pyari aankhen
saikDon shisha-e-dil baada-kashon ke toDe
mohtasib se hain ziyaada wo KHumari aankhen
phul nargis ke gire shaKH se Dali jo nazar
teri aankhon ki itaat mein hain sari aankhen
farsh ho jati hain tum panw jahan rakhte ho
adab-amoz-e-mohabbat hain hamari aankhen
baad muddat ke zara hosh mein aaya hun aaj
phir dikha de mujhe saqi wo KHumari aankhen
ashk-e-KHunin se asiri mein uTha lutf-e-bahaar
hai qafas rashk-e-chaman abar-e-bahaari aankhen
kya karen bazm-e-hasinan mein 'tashushuq' ja kar
na rahin qabil-e-nazzara hamari aankhen
Ghazal
Josh par thin sifat-e-abr-e-bahaari aankhen
Taashshuq Lakhnavi