اردو हिंदी
Josh par rang-e-tarab dekh ke maiKHane ka | Shaahi Shayari
josh par rang-e-tarab dekh ke maiKHane ka

Ghazal

Josh par rang-e-tarab dekh ke maiKHane ka

Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni

;

josh par rang-e-tarab dekh ke maiKHane ka
jhuk ke munh chum liya shishe ne paimane ka

saz-e-ishrat se nikalti hai sada-e-matam
kya ye duniya hai muraqqa mere gham-KHane ka

nazar aati hai har ek but mein KHuda ki qudrat
silsila kabe se milta hai sanam-KHane ka

mil gai mil gai dad apni wafaon ki mujhe
hans diye sun ke wo qissa mere mar jaane ka

dars le zindagi-e-shama se ai parwane
aashiqi nam hai mar mar ke jiye jaane ka

kunj-e-marqad mein bhi aaram se so na-malum
naqsh abhi dil mein hai guzre hue afsane ka

shama ro ro ke isi gham mein ghuli jati hai
KHun-e-nahaq meri gardan pe hai parwane ka

dida-e-tar ne kiye rah mein dariya hail
qasd us ne jo kiya dil se kabhi jaane ka

haram-o-dair mein kis tarah lage dil us ka
jis ki nazron mein ho naqsha tere kashane ka

dekh jao mere marne ka tamasha tum bhi
aaKHiri bab hai ye zist ke afsane ka

husn aur ishq ki tafsir mukammal ho jae
shama ke sath rahe tazkira parwane ka

'maKHfi' is tarah se kuchh umr basar ki hum ne
zindagi ka hua itlaq na mar jaane ka