josh par apni mastiyan aain
yaad kis ki ye shoKHiyan aain
baaton baaton mein le liya dil ko
tumhein kyun-kar ye phurtiyan aain
kahin un ko na yaad aaya hun
aaj kyun mujh ko hichkiyan aain
donon aalam hue tah-o-baala
un ko kyun KHush-KHiramiyan aain
ruk raha dam jo aa ke aankhon mein
yaad kis but ki ankhDiyan aain
baal khole naha rahe the wo
kya hi ghir ghir ke badliyan aain
tum jo soe to talwe sahlane
meri aankhon ki putliyan aain
phir lagate ho mehndi hathon mein
yaad phir rang-reliyan aain
josh-e-wahshat ke din phir aa pahunche
muzhda ai dil ki beDiyan aain
paD gaya hath jab gareban par
hath do-chaar dhajjiyan aain
naKHl-e-ummid barwar na hua
phul aae na pattiyan aain
main ne furqat mein aahen kin do-chaar
log samjhe ki aandhiyan aain
kal se dil ko jo kal nahin paDti
yaad kis ki kalaiyan aain
main ne likkhe yahan se matlab-e-dil
wan se likh likh ke galiyan aain
ruKH pe boson ke ban gae hain nishan
ghaza maliye ki jhaiyan aain
hasb-e-wada jo kal na aae tum
dil mein lakhon buraiyan aain
aaya gulshan mein jab wo sarw-e-sahi
gird phirne ko qumriyan aain
apne jine se ho gai nafrat
yaad kis ki rukhaiyan aain
ji na lagna tha hasraton ke baghair
KHush hua dil saheliyan aain
dil taDapne laga jo sine mein
yaad kis but ki shoKHiyan aain
ashk-e-hasrat nikal paDe 'anjum'
uTTho uTTho ki bundiyan aain
Ghazal
Josh par apni mastiyan aain
Mirza Asman Jah Anjum